Ke
likhun to ab kya likhun,
kaifiyat e Majbooriyan likhun ya aazmaaeish e
aftab likhun,
haal-e-dil ki kashmakash likhun ya zindagani ki
jad-do-jehad ke fasane likhun.
Aaina mujhse pooche hai,kis rah ka
talabghar hun;
kaise likhun imroz-o-farda ka ilm nahin,bas akhirat ka
talabghar hun.
Khushi-e-zahir likhun ya gham-o-batin likhun,
likhun to
kuch pal zindagni ke,wo ibadat ke wo khalwat nashini ke.
Likhun to
tanhai likhun aur Arsh-e-bari ke Qaseede likhun.
Jab khayal aye duniya
ka, mujhe alfaz ke jugnu na mile;
ilm ka chiragh jo dhoondha, qalam
roshni likhti gayi.