Monday, July 03, 2017

Mitti

Ye imaartein, ye mehal, ye shaan-o-shauqat,
Aasmaan main jhilmilate taaree aur zameen pe ye qadmon ke nishan,
sabh mitti hi to hain...
Ye taqabbur, ye imroz ô farda ki jhunjhulahat,
Aur bulandi chadhta ye insaan,
sabh mitti hi to hai,
Ye jism aur nikharte sawarte aainon main ye chehre, Jaise band mutthi main ho waqt aur zindagi ek mazboot ghada...
Par sabh mitti hi to hain..

Thursday, May 18, 2017

Ek Parinda

In akeli si raaton main,
Tanhai ki chadar odhe
Unka khayal aisa aaya goya
Jaise beech samandar door kinara ho kahin.

In khayalon ki kashti pe sawaar,
Palkon pe neend ke jhonke liye,
Khwabon ke jhilmilate taare
Tumhari yaad dilate mujhko.

Tum wo maasoom sa parinda,
Jo hawa ke sang udta jaata hai,
Ke tumhe ojhal hue arsa sa hua ab,
Jaane ghar ki ore hawa kabh ki ho.

Ke waqt beeta jata hai,
Ek umr guzri jati hai,
Ke intezar us subh ka
Ke Khwabon ke pare wo laut aaye...

Friday, April 21, 2017

Muqammal Jahan

Wo kehtein hain kisi ko muqammal jahan nahin milta,
kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta..

Goya ke jise mile waladayein,
ushe mili hai muqammal zameen
aur gar mile azeemat e khidmat unki,
to saton arsh mil gaye.

Usne dhondha bahut ke kare Rabb ko Razi, gar khush hon maa baap, to Rabb Razi to sabh Razi..

Wednesday, April 19, 2017

Waqt

Waqt se chehre kaise dhundhle padh jate hain, jaise rait se nishan gum jate hain. Wo jo azeez the kabhi,
Aaj unka zikr bhi nahin.
Aaj jo yahan hain abhi, kal jaane kahan wo bhi.

Kal hi to tha ke khele wo bachpan ke khel humne,
Udte parinde is gagan ke,
Palak jhapakte ek umr guzar jani hai,
Har pal zindagi badalti jaani hai.

Chaha kitna ke tham jaye ye waqt yahin,
Zam Zam kehke ruk jaye kahin.
Soye jabh to kahan the hum,
Ankh khuli to kuch bhi nahin...

Waqt sambhla kahan hai kisse,
Hatheli pe pani ho jaise.
Kal ko aaye the kal hi jana hai,
Waqt ka bhi ajab ye fasana hai...