Wednesday, May 28, 2025

Wo ek yaad

Sadiyon baad, phir aayi wo yaad
Ek arsa hua, ya beeti sirf ek raat;
Jaise kal ki ho baat, ek palak jhapki
Ek karwat li, ya li ek saans

Aaina lekin badal sa gaya hai
Wo hansi shayed badali hai;
Kuch paya kuch khoya
Kuch seekha Kuch sikhaya

Dekha shayed khwab mein
Ya shayed haqiqat hi ho
Waqt manon aise gaya
Jaise kitaab mein sookha hua gulab

Shayed wo wohi ho, shayed badli si ho
Karti shayed wo bhi ho yaad;
Waqt shayed wahan bhi badla ho
Shayed haqiqat ho ya ho khwab....

Wednesday, January 31, 2018

The Super Blue Blood Moon

​As the moon glitters
like a Sun in the night sky,
Shining so bright 
up above so high.

It's like an ancient calling,
Mystical and deep.
For as it passes by
Chronicles the sands of time. 
From Scripture that say
Which sign would you deny;
From several moons away, 
Has witnessed the past
And will the future 
Until the end of time
When it would be rolled in. 

I gaze the moon
Since I know of me
Each time for the first time 
And each time my heart
Is spellbound & enthralled. 
As i grow grey, 
The sight may blur
But thy love eternal
Embossed forever..

Monday, July 03, 2017

Mitti

Ye imaartein, ye mehal, ye shaan-o-shauqat,
Aasmaan main jhilmilate taaree aur zameen pe ye qadmon ke nishan,
sabh mitti hi to hain...
Ye taqabbur, ye imroz ô farda ki jhunjhulahat,
Aur bulandi chadhta ye insaan,
sabh mitti hi to hai,
Ye jism aur nikharte sawarte aainon main ye chehre, Jaise band mutthi main ho waqt aur zindagi ek mazboot ghada...
Par sabh mitti hi to hain..

Thursday, May 18, 2017

Ek Parinda

In akeli si raaton main,
Tanhai ki chadar odhe
Unka khayal aisa aaya goya
Jaise beech samandar door kinara ho kahin.

In khayalon ki kashti pe sawaar,
Palkon pe neend ke jhonke liye,
Khwabon ke jhilmilate taare
Tumhari yaad dilate mujhko.

Tum wo maasoom sa parinda,
Jo hawa ke sang udta jaata hai,
Ke tumhe ojhal hue arsa sa hua ab,
Jaane ghar ki ore hawa kabh ki ho.

Ke waqt beeta jata hai,
Ek umr guzri jati hai,
Ke intezar us subh ka
Ke Khwabon ke pare wo laut aaye...

Friday, April 21, 2017

Muqammal Jahan

Wo kehtein hain kisi ko muqammal jahan nahin milta,
kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta..

Goya ke jise mile waladayein,
ushe mili hai muqammal zameen
aur gar mile azeemat e khidmat unki,
to saton arsh mil gaye.

Usne dhondha bahut ke kare Rabb ko Razi, gar khush hon maa baap, to Rabb Razi to sabh Razi..

Wednesday, April 19, 2017

Waqt

Waqt se chehre kaise dhundhle padh jate hain, jaise rait se nishan gum jate hain. Wo jo azeez the kabhi,
Aaj unka zikr bhi nahin.
Aaj jo yahan hain abhi, kal jaane kahan wo bhi.

Kal hi to tha ke khele wo bachpan ke khel humne,
Udte parinde is gagan ke,
Palak jhapakte ek umr guzar jani hai,
Har pal zindagi badalti jaani hai.

Chaha kitna ke tham jaye ye waqt yahin,
Zam Zam kehke ruk jaye kahin.
Soye jabh to kahan the hum,
Ankh khuli to kuch bhi nahin...

Waqt sambhla kahan hai kisse,
Hatheli pe pani ho jaise.
Kal ko aaye the kal hi jana hai,
Waqt ka bhi ajab ye fasana hai...

Monday, December 30, 2013

 A Walk in the streets of Madinah

Kya likhoon mere Rasool ke is shahar ki, 
is sukoon ki, is jamaal ki. 
Subah ki is thandak ki, aur raaton ki nooraniyyaton ki.

Jagmagate har kone yahan, bazaaron main ye raunakaein, 
 aasman sunhaira jaise baadlon se, barkatein hain in fizaon main. 

Masjid rehmaton ka bageecha, aur azaan hawayon main ghulti si, 
ke jab qirat ho Imam e muqaddas, 
panchi zameen-o-aasaman sab dauhrate hain...

Registaan ki hawa main ye thandak, bas mere Rasool ki hai fazilat...
ke ab dil chahe ke Madinah ki in galiyon main kahin kho jayoon, 
aur lautke na ayoon...aur lautke na ayoon....