Ek arsa hua, ya beeti sirf ek raat;
Jaise kal ki ho baat, ek palak jhapki
Ek karwat li, ya li ek saans
Aaina lekin badal sa gaya hai
Wo hansi shayed badali hai;
Kuch paya kuch khoya
Kuch seekha Kuch sikhaya
Dekha shayed khwab mein
Ya shayed haqiqat hi ho
Waqt manon aise gaya
Jaise kitaab mein sookha hua gulab
Shayed wo wohi ho, shayed badli si ho
Karti shayed wo bhi ho yaad;
Waqt shayed wahan bhi badla ho
Shayed haqiqat ho ya ho khwab....
1 comment:
Jawab
Haan, mujhe bhi woh yaad aayi thi,
Khamoshi ki kisi gehri shaam mein.
Jaise hawa ne tera naam chhed diya ho,
Aur dil ne bina ijazat muskurana seekh liya ho.
Waqt ne chehre zaroor badle honge,
Par kuch ehsaas umr ke mohtaaj nahi hote.
Kitaab ke us sookhe gulaab ki tarah,
Khushboo kabhi poori tarah nahi khoti.
Jo baatein adhoori reh gayi thi,
Shayad unka jawab aaj bhi baaki hai.
Jo raaste kabhi juda ho gaye the,
Un par tere qadam ki aahat aaj bhi baaki hai.
Agar woh sirf khwaab tha,
Toh us khwaab ko phir se jee lenge.
Aur agar woh haqiqat hai,
Toh is baar waqt ko humse door na jaane denge.
Tum yaad bankar nahi,
Meri dua bankar lautna.
Sadiyan chahe beech se guzar jaayein,
Meri mohabbat har dafa tum tak hi pahunchna.
Plz connect Talha Siddiqui
Post a Comment