Zindagi!
Zindagi ki masrufiyat main,
Uski yaad sagar banke palkon se phoot padti,
Ajeeb si bechaini Dil-o-dimagh main ghar kar leti hai.
Jab din ka ujala rat ki andheri chadar ko hathata,
Door kahin suraj ki us dhandi kiran se wo jhalakti si dikhti.
Mann chahe ke rooh ko subhah ki sard hawa main bikher doon,
Khushbu ki tarah ayun us subh,
Ushe mehka doon.
Ek dibiya si tang jagah men simta main baitha,
Sagar ke tal main khoya hoon.
Kabhi wo machli banke mujhe le jaye,
Aur gagan panchi ke sang indradhanush ke rangon men main ghuljayun.
Akela baitha ghar ke angan main chidiyon ko dekhta,
Baten karte - dana khate,
Apni marzi ke wo maalik,
Jab chahe choo-mantar hojate.
Aur main hathon apne qalam ko liye,
Sochta-girta-sambhalta-baitha,
Kore kagaz ko kora hi chod jata..............................!!!!!

2 comments:
aaah..! how lovely! I am truly out of words for these pearls on your blog.. about someone in your thoughts.. how beautifully written Talha! It's awesome... incomparable.
what should i say...should i remind u here abt ur pet "PHUDKU" or should i remind u here hidind inside the balnket talking on the fone caught by ur mom.....Lovely :)
Post a Comment